Some gems are presented below:
shaayar: Ahmed Faraz
ab ke hum bichde to shaayad kabhi khwaabon mein mile
jis tarah sookhe huye phool kitaabon mein mile
dhoond ujde huye logon mein wafa ke moti
ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein mile
tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
dono insaan hain to kyun itne hijaabon mein mile
gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
nasha badta hai sharaabon jo sharaabon mein mile
ab na woh main hoon na tu hai na wo maazi hai ‘faraz’
jaise do saaye tamaana ke saraabon mein mile
shaayar: Ahmed Faraz
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chod ke jaane ke liye aa
ab tak dil-e-khushfeham ko hain tujh se ummedein
ye aakhari shamme bhi bujhaane ke liye aa
ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi mehroom
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa
kuch to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
maana ki muhabbat ka chupaana hai muhabbat
chupke se kisi roz jataane ke liye aa
jaise tumhe aate hain na aane ke bahaane
aise hi kisi roz na jaane ke liye aa
pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-reh duniya ki nibhane ke liye aa
kis kis ko bataayenge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamaane ke liye aa
rafta rafta woh mere hasti ka saamaan ho gayey
pehlay jaan phir jaan-e-jaan phir jaan-e-jaana ho gayey
din-b-din badti gayein is husn ki raanaiyaan
pehlay gul phir gul-badan phir gul-badamaan ho gayey
aap to nazdeek sey nazdeek-tar aatey gayey
pehlay dil phir dilruba phir dil key mehmaan ho gayey
pyar jab hadd se badha saare taqaluf mit gayey
aaap se phir tum huay phir tu ka khunwaan ho gayey
the song in the above video ends at about 09:50 thereafter audio is blank
shaayar: Mir Taqi “Mir”
sheetal chanda agni ban gayee
kante ban gaye phool
pyaar na karna kohun kissi se
pyaar hai man ki bhool
basti basti khak udi hai
jungle jungle aag
yeh dhuan balkhata uthe
jaise kale naag
dekh to dil ke jaan se uthta hai
ye dhuan sa kahan se uthta hai
yun uthe aa us gali se hum
jaise koi jahan se uthta hai
baithne kaun de hai phir us ko
jo tere aastaan se uthta hai
ishq ek ‘mir’ bhari paththar hai
kab yeh tujh naatawaan se uthta hai
shaayar: Ahmed Faraz
shola tha jal bujha huun hawaayein mujhe na do
main kab ka ja chuka huun sadaayein mujhe na do
jo zahar pi chuka huun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaayein mujhe na do
aisa kabhi na ho ke palat kar na aa sakuun
har baar door ja ke sadaayein mujhe na do
kab mujh ko aitaraaf-e-muhabbat na tha ‘faraz’
kab maine ye kaha tha sazaayein mujhe na do
mein khayal hoon kisi aur ka
mujhe sochta koi aur hai
sar-e-aeenah mera aks hai
pas-e-aeenah koi aur hai
mein kisi ke dast-e-talab mein hoon
to kisi ke harf-e-dua mein hoon
mein naseeb hoon kisi aur ka
mujhe maangta koi aur hai
ajab aitabar-o-bey aitabaree
ke darmayan hai zindagi
mein qareeb hoon kisi aur ke
mujhe jaanta koi aur hai
mujhe doston ka pata nahin
mujhey dushmanon ki khabar nahin
meri daastan koi aur thi
mera waaqaya koi aur hai
jo milen kabhi unhen poochna
dekhna unhen ghaur se
jinhen raastey mein khabar hui
keh ye raasta koi aur hai
jo meri reyazat-e-neem shab
ko saleem subh na mil saki
to is key mani to yeh hue
keh yahan khuda koi aur hai
shaayar: Bahadur Shah Zafar
baat karani mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gayaa chhin ke kaun aaj tera sabr-o-qaraar
beqarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi
chashm-e-qaatil meri dushman thi hameshaa lekin
jaise ab ho gaye qaatil kabhi aisi to na thi
unki aankhon ne khuda jaane kiya kya jaadu
ke tabiyat meri maail kabhi aisi to na thi
kya sabab tu jo bigadata hai ‘zafar’ se har baar
khuu teri huur-e-shamaail kabhi aisi to na thi
shaayar: Qatil Shifai
zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain
main to markar bhi meri jaan tujhe chahoonga
tu mila hai to ye ehsaas huaa hai mujhko
ye meri umr mohabbat ke liye thhodi hai
ek zara sa ghum-e-dauraan ka bhi haq hai jis par
maine woh saans bhi tere liye rakh chhodi hai
tujh pe ho jaaoonga qurban tujhe chahoonga
main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga
apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye
maine dhadkan ki tarah dil mein basaaya hai tujhe
main tasavvur bhi judaai ka bhala kaise karoon
maine kismat ki lakeeron se churaaya hai tujhe
pyar ka banke nigehbaan tujhe chaahoonga
main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga
teri har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraag
jab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aaye
tujhko chhulun to phir aye jaan-e-tamanna mujhko
der tak apne badan se teri khushboo aaye
tu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahoonga
main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga
-o-
The ghazal ‘Dekh tu dil, ke jaan se uthta hai’ by Meer Taqi Meer does not contain the lines ‘sheetal chanda agni ban gayi…….jaise kaale naag’
But Mehdi Hasan’s song starts with it. I would like to know whose are those four lines.
LikeLike